Video narration
Kya aapne kabhi "a piece of cake" suna hai? Sunkar lagta hai, baat cake khane ki hogi. Lekin nahi - iska matlab hai, koi kaam bahut aasaan hai. Sochiye, aapka English test hua. Koi poochta hai, "Test mushkil tha?" Aap jawab dete hain, "No, it was a piece of cake" - yaani test dena bahut aasaan tha. Aise hi, kisi aasaan kaam ke liye aap bhi yeh phrase bol sakte hain. Toh, iska matlab? Koi kaam bahut aasaan - jaise aapka English test.