ToMotion AI logo
Menu
Back to gallery

Public AI explainer video

The Babu vs. Baniya Mindset

ये सिर्फ Aayush की कहानी नहीं। Dhirubhai Ambani गुजरात के एक छोटे गाँव से थे। उन्होंने पहले Yemen के Aden में नौकरी की, फिर India लौट के छोटा व्यापार...

Prompt

Source idea used to generate this video.

Create a vertical 9:16 animated explainer, about 4 minutes, Hindi voice, calm deep male narrator (Sethji). Audience: Indians aged 20 to 30 who dream of starting a business but have little business knowledge. Mood: serious, warm, authority-driven. Colours: muted blue-grey for salary and office scenes, turning warm gold once the phone glows. Indian setting and currency. All on-screen text in Roman letters only, shown exactly as written below. NARRATION RULES: Read the narration below word for word, in the same order. Do not rewrite, shorten, summarise, add lines, or repeat any line. Do not read these instructions or scene directions aloud. Speak in slow, natural storytelling pace with no extra pauses. No second voice. Aayush's words appear only as text bubbles. LAYOUT RULES: Fill the whole vertical frame. Put the main illustration large and centred, with text at the top and bottom. Never leave the lower half empty. Change the visual at least every 6 seconds, except the text-only Sutra card. No hand reaching toward a phone. No ships, logos or text on objects carrying a real person's name. No pricing, payment button or app-store icon. No foreign landmarks or flags. Respectful tone toward all communities. CHARACTERS: Aayush is a 27-year-old Indian man with short black hair, thin stubble and tired eyes. He ALWAYS wears the same light-blue formal shirt with sleeves rolled up and a loosened dark tie, in every scene. Same face in every scene. Sethji appears only as a glowing phone call screen with a dark silhouette, never a drawn face. SCENES (one per narration paragraph, in order): 1. Phone shows "Salary Credited ₹52,000". EMI, rent and card alerts drop in, balance falls to ₹1,800. Big text: SALARY AAYI. 11 MINUTE MEIN GAYI. 2. Title card stays on screen while Sethji greets: small text "LEVEL 1: THE DHANDHA AWAKENING", big text "MODULE 1: THE BABU vs. BANIYA MINDSET", small line "Inspired by the founder's real story. Scenes are dramatised." After the greeting, switch to ONE text-only card on a plain cream background, no pictures, no icons, no characters, showing all four lines together, stacked, in large bold marker lettering, each with its meaning smaller underneath: "Oont re munde mein jeero, lala." / "Salary jeera hai, kharcha oont." "Tipe tipe sarovar bharay, dikra." / "Boond-boond se talab bhar jaata hai." "Sau vatni ek vat: naukri seedi chhe, ghar nathi." / "Naukri seedhi hai, ghar nahi." "Khali chano vage ghano, lala." / "Jo andar se khaali hote hain, wahi zyada shor karte hain." Highlight each line in turn as it is spoken. Never show these lines again. 3. Packed Indian metro, Aayush in his blue shirt. WhatsApp chat: Boss message "Aayush, need the weekend report by tonight. Cancel your Sunday plans." Aayush types "Sir, Sunday toh mera..." and deletes it, sends "Sure sir". Calendar with 28 days circled inside a cage labelled EMI KA PINJRA. 4. Rainy tea stall at night, Aayush with cutting chai searching "business kaise shuru karein" and seeing confusing results. Phone glows gold, rain slows, call screen "Sethji". Caption: SETHJI = AAYUSH, is app ka founder. Aane wale kal ki awaaz. 5. Calculator: 26 x 12 = 312 hrs; ₹52,000 ÷ 312 = ₹166/ghanta. Question card "Aapka ek ghanta kitne ka hai?" Plumber with "₹300 / 20 min". Aayush bubble: "Plumber se bhi kam?!" Then a rented house with a KIRAYA tag. 6. One small auto part: Kharcha ₹23, Bikri ₹35, Munafa ₹12; 10,000 pieces = ₹1.2 lakh, tagged "Example" and "Gross profit". A machine running at night while a man sleeps. Split screen labelled BABU (watching a clock) vs BANIYA (sleeping while the machine runs). 7. Slow quiet moment. Speech bubbles "LOG KYA KAHENGE" fading away. Aayush's reflection at 60 in the chai glass. Text: SABSE BADA RISK: KAASH. 8. Simple name cards, no faces, no ships: "DHIRUBHAI AMBANI" with a small port icon, "FALGUNI NAYAR" with a small shopping-bag icon, a tea-stall owner with a "?" mark, then Sethji's silhouette. 9. Three learning cards: "1. Salary = time ka kiraya", "2. Babu samay bechta hai, Baniya system banata hai", "3. Darr ko apna faisla mat banane do". Card "PEHLE vs. AB": "Ghante ka bhav pata nahi" vs "₹166/ghanta". App screen: "Idea Viability Score: 54%, KACCHA HAI, PAR DUM HAI" with three red flags: "Manufacturing Knowledge: LOW", "Setup Cost: HIGH", "Customer: UNVERIFIED". Task card: "Apni salary ÷ ghante = tumhara bhav". 10. Boss's cabin door with the bubble "Aayush, kal subah 9 baje meri cabin mein. Important." End card: "Next: Module 2, The 'Dukh-Dard' Strategy" and "— Sethji (Aayush), founder." NARRATION (read exactly): Salary aayi, aur 11 minute mein khatam. Namaste dosto, main hoon Sethji. Aaj hum seekhenge ki naukri aur dhandhe ki soch mein asli farak kya hai. Ye hai Level 1, The Dhandha Awakening, ka pehla module: The Babu versus Baniya Mindset. Dikra, chaar baatein dhyaan se sun. Oont re munde mein jeero, lala. Tipe tipe sarovar bharay, dikra. Sau vatni ek vat: naukri seedi chhe, ghar nathi. Khali chano vage ghano, lala. Ab dekhte hain, ye baatein Aayush ki zindagi mein kaise dikhti hain. Ye Aayush hai, 27 saal ka. Roz ki bheed, roz ka boss, aur mahine ke ant mein bas EMI. Aaj boss ka message aaya: weekend report chahiye, Sunday cancel karo. Aayush ne likha, Sir, Sunday toh mera, aur phir mita diya. Bheja sirf itna: Sure sir. Ab 28 din ka intezaar. Har mahine, 30 saal tak. Ise safety nahi, EMI ka pinjra kehte hain. Raat ho gayi, baarish bhi. Cutting chai haath mein liye Aayush phone mein dhoondh raha hai: business kaise shuru karein? Jawab bahut milte hain, par samajh mein ek nahi aata. Tabhi phone chamak utha. Ram Ram sa, lala. Ae dikra, kem udaas chhe? Main wahin se aaya hoon, jahan tu abhi baitha hai. Meri awaaz jaani-pehchaani lagti hai na? Samajh jaayega, dikra. Chal, ek hisaab lagate hain. Tharo ek ghanto kitto hai, lala? 26 din, roz 12 ghante, office aur metro milake, 312 ghante. Salary 52 hazaar. Matlab tera ek ghanta, lagbhag 166 rupaye. Society ka plumber 20 minute ke 300 rupaye leta hai. Tu apna time kiraye pe de raha hai, lala, aur kiraye se aaj tak koi mahal nahi bana. Ab dekh, Baniya kaise sochta hai. Maan le ek chhota auto part. Banane ka kharcha 23 rupaye, bechne ka 35, munafa 12. Mahine ke 10 hazaar piece, matlab 1 lakh 20 hazaar, kharche nikalne se pehle. Ek chhoti si machine, jo tere sone ke baad bhi kamaati rehti hai. Babu apna samay bechta hai. Baniya system banata hai. Ye jaati ki baat nahi, soch ki baat hai. Ab sabse badi deewar: darr. Log kya kahenge? Ye wahi log bolte hain, jinhone khud kabhi koshish nahi ki. Main naukri chhodne ko nahi keh raha, dikra. Bas itna soch: sabse bada risk dhandha nahi hai. Sabse bada risk hai saath saal ki umar mein peeche mud ke sochna, kaash maine try kiya hota. Ye sirf Aayush ki kahani nahi. Dhirubhai Ambani Gujarat ke ek chhote gaon se the. Unhone pehle Yemen ke Aden mein naukri ki, phir India laut ke chhota vyapaar shuru kiya, jo aage Reliance bana. Falguni Nayar ne badi banking naukri ke baad 49 saal ki umar mein Nykaa shuru ki. Ek udaharan tere paas hi hai: mohalle ke tapri ya kirane wale se poochna, unka din kaisa jaata hai aur unka boss kaun hai. Aur ek udaharan main hoon. Main bhi kabhi tere jaisa tha, dikra, aur mera pehla kadam bhi chhota hi tha. Aaj ke teen sabak. Ek: salary tere time ka kiraya hai. Do: Babu samay bechta hai, Baniya system banata hai. Teen: darr ko apna faisla mat banane de. Pehle Aayush ko apne ghante ka bhav pata nahi tha, ab pata hai, 166 rupaye. Pehle naukri hi safety lagti thi, ab wo soch badal raha hai. Aur uske pehle idea ka score: 54 percent. Kaccha hai, par dum hai. Na mama kartaa kaano mamo saaro, dikra, idea hai matlab shuruaat hai. Ye teen laal nishaan hi teri agli yatra hain. Aaj raat ek kaam: apni salary ko ghanton se divide kar, aur dekh tere time ka bhav kya nikalta hai. Kal subah 9 baje, boss ki cabin. Module 2, The Dukh-Dard Strategy. Seekhoge ki tera idea Painkiller hai ya Vitamin.

Narration

Narration used to create this video.

Video narration

ये सिर्फ Aayush की कहानी नहीं। Dhirubhai Ambani गुजरात के एक छोटे गाँव से थे। उन्होंने पहले Yemen के Aden में नौकरी की, फिर India लौट के छोटा व्यापार शुरू किया, जो आगे Reliance बना। Falguni Nayar ने बड़ी banking नौकरी के बाद 49 साल की उम्र में Nykaa शुरू की। एक उदाहरण तेरे पास ही है: मोहल्ले के tapri या किराने वाले से पूछना, उनका दिन कैसा जाता है और उनका बॉस कौन है। और एक उदाहरण मैं हूँ। मैं भी कभी तेरे जैसा था, दिकरा, और मेरा पहला कदम भी छोटा ही था। आज के तीन सबक। एक: salary तेरे time का किराया है। दो: Babu समय बेचता है, Baniya system बनाता है। तीन: डर को अपना फैसला मत बनाने दे। पहले Aayush को अपने घंटे का भाव पता नहीं था, अब पता है, 166 रुपये। पहले नौकरी ही safety लगती थी, अब वो सोच बदल रहा है। और उसके पहले idea का score: 54 percent। कच्चा है, पर दम है। ना मामा करता काणो मामो सारो, दिकरा, idea है मतलब शुरुआत है। ये तीन लाल निशान ही तेरी अगली यात्रा हैं। आज रात एक काम: अपनी salary को घंटों से divide कर, और देख तेरे time का भाव क्या निकलता है। कल सुबह 9 बजे, बॉस की cabin। Module 2, The Dukh-Dard Strategy। सीखोगे कि तेरा idea Painkiller है या Vitamin।